bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai kabhi ai kash tum puchho ki meri aarzu kya hai main teri aahaten pata hun kaliyon ke chatakne mein gulistan mein ba-juz jalwon ke tere rang-o-bu kya hai usi ko dard kahta hai usi ko dard ka darman nahin ye ishq to ai dil bata phir justuju kya hai safai pesh karte ho jo apni tauba-shikani ki batao phir tumhaare hath mein jam-o-subu kya hai dar-e-kaba ho pa-e-naz ho sar rakh diya hum ne kahan ye shauq-e-sajda dekhta hai ru-ba-ru kya hai mujhe bhi aakhirash taslim to ek roz karna hai agar kuchh bhi nahin hun main to phir ye tu hi tu kya hai zamane mein to 'ghazi' nam hai mashhur ek be-shak magar khud ki nazar mein puchhiye ki aabru kya hai