ain masti mein hun dil duniya se begana hai kyunki ab pesh-e-nazar jalwa-e-jaanana hai hashr ke roz mulaqat ka parwana hai hauz-e-kausar mere mahbub ka mai-khana hai chaar unsur ke tarashe ko tu ainwin na samajh zarra zarra meri tauqir mein diwana hai awwal awwal mujhe takhliq kiya tha us ne arsh ke niche ka sara mera kashana hai baada-e-nur ke do qatre hain ye raat aur din aankh be-ant ki gahrai ka paimana hai jis ko fanus mein shoale ki samajh aa jae us ke aage na koi majnun na diwana hai jism ka jism se kuchh din ka talluq hoga ruh ka ruh se aaghaz ka yarana hai wasl hi asl hai 'tahsin' pareshan mat ho hijr-e-adam se hue jurm ka jurmana hai