bayan-e-dard ko kis husn se tamam kiya meri zaban se ziyaada nazar ne kaam kiya us aastan pe bashar kya malaika hain nisar meri jabin ne jise sajda-gah-e-am kiya talash-e-dost ek amr-e-muhaal tha lekin ye waqia hai ki zauq-e-amal ne kaam kiya unhen dila ke taghaful-shiariyon ki qasam ek aah-e-sard bhari aur gila tamam kiya