bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain wo log jin ka hai dawa ki sab samajhte hain sahih ho ke ghalat hun yahi khata meri ki main jo hun wo mujhe log kab samajhte hain main jin ke wahm-o-guman ko farogh deta hun mujhe haqir wo khud ke sabab samajhte hain tamam aib mujhi ko dikhai dete hain so mere dost mujhi ko ajab samajhte hain sabaq hamein bhi mila hai koi zarur ki hum jo kuchh na pahle samajhte the ab samajhte hain zamin ho khushk to faslen nahin uga kartin is ek baat ko dariya ke lab samajhte hain kisi ki zat se waqif koi nahin 'rahat' agarche sab yahan nam-o-nasab samajhte hain