furqat ka fusun phail gaya sham se pahle anjam nazar aata hai anjam se pahle hum jaur-o-sitam sah ke bhi shikwa nahin karte aur morid-e-ilzam hain ilzam se pahle is waste sine se lagaya hai tera gham milti nahin rahat kabhi aalam se pahle ai dost gawara hai mujhe ishq mein sab kuchh kuchh aur bhi kah lijiye badnam se pahle taslim hai ruswai sabab is ka hua kaun aankhon mein nami aai tere nam se pahle kho baitha hun sab hosh-o-khirad ek nazar mein aisa hi khumar aaya mujhe jam se pahle didar ke talib the 'nazar' ho gae mahrum diwar thi ashkon ki dar-o-baam se pahle