bayan kar dard chashm-e-tar hamara kahin gum ho gaya hai ghar hamara salamat is liye hai sar hamara qasida padhte hain patthar hamara kahan ho chand-taro tum kahan ho tumhaara muntazir hai ghar hamara ladakpan aaj bhi zinda hai hum mein machal uthta hai dil aksar hamara abhi tari hai chehron par udasi abhi badla nahin manzar hamara maraz qabu se bahar ho gaya tha na rota kaise chaaragar hamara musafir hain kahin bhi so rahenge hamare sath hai bistar hamara na jaane kya khata hum se hui hai suna hai zikr hai ghar ghar hamara koi to dad de ji bhar ke hum ko koi to sher ho behtar hamara mita sakte nahin hum ko andhere bahut ujla hai pas-manzar hamara karishma dekhiye khush-qamati ka na takraya kisi se sar hamara sab ahl-e-khana hain kamre ke andar janaza rakkha hai bahar hamara ana ka aaina dhundla gaya jab to nikhra aur bhi 'jauhar' hamara