na buton tak na hum allah ke ghar tak pahonche

na buton tak na hum allah ke ghar tak pahonche
apne nale na kabhi bab-e-asar tak pahonche

hausla dil ka raha dil mein nazara kaisa
lakh chaha na magar aap ke ghar tak pahonche

rut jawani ki gai aalam-e-piri aaya
ghar se shab ko chale manzil pe sahar tak pahonche

naqsh-e-pa bhi na unhen ek nazar aaya haihat
jo tahi-bakht teri rahguzar tak pahonche

mo'atabar logon se hum ne ye suna hai 'masud'
dar se uth kar tere allah ke ghar tak pahonche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close