bayan kya hai jo is se bhi kuchh siwa samjhen

bayan kya hai jo is se bhi kuchh siwa samjhen
unhen kaho ki wo dil ka moamla samjhen

kaho ki kasrat-e-kar-e-jahan ke hote hue
kisi ki yaad satae to is ko kya samjhen

ki su-e-dil chali aati hain ladkiyan pahle
phir us ke baad ye kahti hain masala samjhen

ye daur wo nahin likkha hai jo kitabon mein
yahan wafa ki adakari ko wafa samjhen

guzishta ishq ka ghaflat mein khul gaya hai bhed
agar ye sab wo na samjha to phir juda samjhen

ye kar-zar chalata hai kaun apne siwa
kise khudai kahen hum kise khuda samjhen

sipah-e-dushman-e-dil qahqaha laga ke kahe
ye ahl-e-ishq hain in ko mara hua samjhen

khazana dhundne nikle the kho gae hain khud
kaha bhi tha ki palatne ka rasta samjhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close