ek hi waqt mein bimar bhi hain thik bhi hain ye jo hum dur bhi hain aap ke nazdik bhi hain husn chehre se chhalakta hai siyahi dil se hae ye log jo raushan bhi hain tarik bhi hain pankhudi dekhte hi 'mir' ko deta hun dad hont rangin bhi hain nazuk bhi hain barik bhi hain shane se shana milaun ki bachaun pahlu dost eazaz bhi hain bais-e-tazhik bhi hain in fazaon mein sabhi rang hamin se hain ki hum ahl-e-iman bhi hain sahib-e-tashkik bhi hain kuchh samajh mein nahin aata ki mere shahr ke log wajh-e-tazhik bhi hain laeq-e-tabrik bhi hain