bazar-e-mohabbat mein sharminda sharafat hai

bazar-e-mohabbat mein sharminda sharafat hai
phulon ki numaish hai khushbu ki tijarat hai

hanste hue gulshan ko pal bhar mein rula dale
aawara hawaon mein aisi bhi mahaarat hai

tamir ka jazba bhi takhrib ka naqsha bhi
ye shauq-e-shahadat hai ya zauq-e-baghawat hai

bujhte hue angare paigham ye dete hain
shoalon se ulajhne ki shabnam mein jasarat hai

auqat ki had se wo aage nahin badh sakta
qismat ki hatheli par raushan ye ibarat hai

ashaar 'asar' mere mansub usi se hain
jis fikr-e-rasa ki bhi angdai qayamat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close