bazgasht chaar-su sadaon ki baat kya kijiye nazaron ki dil mein khushbu basi hai sandal ki raqs karti hui fazaon ki sat rangon ki qaus hai har su phul dar phul in qataron ki qissa-e-hijr ki kahani mein baat hai sirf chand taron ki hum ne odhi hai ek siyah chadar aap ke zulf ki ghataon ki husn ka kya muwazana kije khud wazahat ho tum bahaaron ki dhup jaisi tamazaten har dam baat hi aur man ki chhanw ki hum ne to khud pe inhisar kiya koi hajat nahin sahaaron ki