bayan-e-dard-e-mohabbat jo bar bar na ho koi naqab tere rukh ki parda-dar na ho salam-e-shauq ki jurat se dil larazta hai kahin mizaj girami pe ye bhi bar na ho karam pe aaen to har har ada mein ishq hi ishq na ho to un ka taghaful bhi aashkar na ho yahi khayal raha pattharon ki barish mein kahin unhin mein koi sang-e-ku-e-yar na ho abhi hai aas ki aakhir kabhi to aaega wo ek lamha ki jab tera intizar na ho bahut fareb samajhta hun phir bhi ai 'ali' main kya karun agar un par bhi e'tibar na ho