bazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin ye bhi hai koi baat kabhi han kabhi nahin jis ne kuchh ehtiyat jawani mein ki nahin aql-e-salim kahti hai wo aadmi nahin dil mango to jawab hai un ka abhi nahin goya abhi nahin ka hai matlab kabhi nahin waiz ko lan-tan ki fursat hai kis tarah puri abhi khuda ki taraf lau lagi nahin aashiq par un ka ek zara sa hai iltifat aur wo bhi is tarah ki kabhi hai kabhi nahin jaisa ki aap chahte hain shakhs pak-o-saf aisa to shahr bhar mein koi muttaqi nahin tanha jiye to khak jiye lutf kya liya ai khizr ye to zindagi mein zindagi nahin hum sab hain rahgir tasadum ka kya sabab duniya hai shahrah kuchh aisi gali nahin dil mein nashat aae to chehra ho tabnak jab tak janab chand nahin chandni nahin 'parwin' jalao sham-e-amal gor ke liye suraj ka nur chand ke wahan chandni nahin