jab ek shakhs apna thikana badal gaya phir us ke sath sara zamana badal gaya badli nigah-e-naz kisi khush-jamal ne badla rukh-e-kaman nishana badal gaya barish mein tez dhup nikal aai chaar-su mausam tha wo jo khub suhana badal gaya wo shakhs be-sabaat ka matlab bataega wo shakhs jis ka dost purana badal gaya hijrat ke sath sath maishat badal gai shajre ke sath sath gharana badal gaya be-chaari ladkiyon ka bhi kaisa nasib hai nisbat badal gai to thikana badal gaya