bazm-e-jaanan se lauT kar aae

bazm-e-jaanan se laut kar aae
phul daman mein apne bhar lae

baat hi ham-nafas kuchh aisi thi
un ki mahfil mein ja ke laut aae

aashiyan to bana ke dam lunga
barq-e-khatif hazar lahrae

raushni hai na kuchh ujala hai
har taraf zulmaton ke hain sae

tera dar chhod ke ai jaan-e-wafa
koi jae to phir kahan jae

kya wo aae mere tasawwur mein
mujh ko bite zamane yaad aae

zakhm hi dil ka bhar gaya shayad
warna honton pe yun hansi aae

jaanta hai sawab-e-taat-o-zohd
koi dil ko mere na samjhae

dard-e-dil kahte hain jise 'anjum'
un ki mushaf se le ke hum aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close