bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue aai saba bahaar-e-gulistan liye hue udta phira junun ye saman liye hue yani hamare jeb-o-gareban liye hue kab tak jiyega dar-e-fana mein bata to de sar mein ghurur-e-alam-e-imkan liye hue mere junun-e-ishq ki wusat na puchhiye hai zarra zarra zor-e-bayaban liye hue jis ko utha sake na pahad aur na aasman wo bar-e-gham hain hazrat-e-insan liye hue mere liye to bahr-e-alam ka ye haal hai jo mauj uthi wo aai hai tufan liye hue ek majma-e-bahaar-o-khizan hai mera wajud phirta hun sath gardish-e-dauran liye hue aasan ho kyun na ahl-e-tajassus ko rah-e-shauq hain apne sath zauq-e-farawan liye hue pheri laga raha hun kharidar ki hai fikr phirta hun sar pe main gham-e-dauran liye hue bahar-e-niyaz-e-naz hum aae hain le ke dil dil mein hujum-e-hasrat-o-arman liye hue 'khushtar' mujhe hai naz ki allah ke huzur jaunga dil mein daulat-e-iman liye hue