watan jis roz se chhuta hai wo manzar nahin milta dar-o-diwar mil jate hain lekin ghar nahin milta bahut mushkil hai do duniyaon mein ek shakhs ka rahna jo mujh mein sochta hai wo mujhe bahar nahin milta na sikhe bap ki ungli pakad kar tifl gar chalna use manzil to mil jae magar rahbar nahin milta munafea-khor do din ke liye bhi kar nahin sakte sile mein jis amal ke naqd-e-mal-o-zar nahin milta nikale kaam apna khauf ki wo parwarish karke mere dushman ko mujh mein koi aisa dar nahin milta jabinon mein tadapte hain jo sajde wo kahan jaen dayar-e-ghair mein jab tera sang-e-dar nahin milta mera sajda hai zarb-e-but-shikan pindar ke sar par yahan is raaz se waqif koi ham-sar nahin milta zarurat ke mutabiq sab ko ai 'mukhtar' milta hai gila is baat ka rahta hai jholi bhar nahin milta