bazm-e-rang-o-bu ka hun main raazdan tanha hai meri zamin tanha aur aasman tanha rahrawan-e-manzil hi jab bichhad chuke sare kya karega manzil par mir-e-karwan tanha rahguzar mein yaksui anjuman mein tanhai hum tere tasawwur mein the kahan kahan tanha zindagi ki rahen ab pur-khatar hain is darja aap chal nahin sakte do-qadam yahan tanha zauq-e-bandagi ho to bandagi ko kafi hain ek meri jabin tanha tera aastan tanha un se haal-e-dil kahna ai 'nasir' lazim hai khamushi nahin hoti gham ki tarjuman tanha