ilaj-e-zakhm-e-dil hota hai gham-khwari bhi hoti hai magar maqtal ki mere khun se gul-kari bhi hoti hai wahi qatil wahi munsif adalat us ki wo shahid bahut se faislon mein ab taraf-dari bhi hoti hai ye hai turfa-tamasha karbala-e-asr-e-hazir ka gharon mein qatilon ke ab aza-dari bhi hoti hai talluq un se tuta tha na tuta hai na tutega bahut mazbut zanjir-e-wafa-dari bhi hoti hai wo mera dost hai 'manzur' lekin jab bhi milta hai khulus-e-dil mein shamil kuchh riya-kari bhi hoti hai