bazm-e-tanhai mein aks-e-shoala-paikar tha koi ya hamare samne yaadon ka lashkar tha koi qurbaton ke ghat par sukhi nadi sabit hua faslon ke dasht mein gahra samundar tha koi us ki sari iltijaen hukm thahrai gain jis ghadi dekha gaya jame se bahar tha koi dewta hai ab wahi mandir ke aasan par jama thokaren khata hua raste ka patthar tha koi us ki khwahish thi ki sath-e-ab par chal kar dikhae kya muqaddar tha ki dariya ka muqaddar tha koi karb apne baune-pan ka jhelta hun aaj tak soch ubhri thi bujhi mere barabar tha koi samne us ke agar suraj nahin tha 'ehtiram' pani pani aakhirash kyun shoala-paikar tha koi