haalat-e-harf kis ne jaani hai ye jahan khugar-e-maani hai kya lage qimat-e-qaba-e-sukhan ye nai ho ke bhi purani hai ek duniya thi, jis ke malbe se ek duniya mujhe banani hai rah mein hai badan ki ek diwar jo mujhe nakhunon se dhani hai ye jahan raqs mein nahin yunhi sab mere khun ki rawani hai aur kuchh din hai ye fareb-e-visal aur kuchh din ye khush-gumani hai surkh ho ai meri qamiz-e-safed apni qimat mujhe badhani hai han tabiat to thik hai meri ek zara ranj-e-raegani hai