bazm khali nahin mehman nikal aate hain kuchh to afsane meri jaan nikal aate hain roz ek marg ka aalam bhi guzarta hai yahan roz jine ke bhi saman nikal aate hain sochta hun par-e-parwaz sametun lekin kitne bhule hue paiman nikal aate hain yaad ke soe hue qafile jag uthte hain khwab ke kuchh nae unwan nikal aate hain baithna chahti hai thak ke jo wahshat apni kitne hi dasht-o-bayaban nikal aate hain istiare hain jo aankhon se chhalak padte hain kitne hi ashk ke diwan nikal aate hain ek zara chain bhi lete nahin 'tabish'-sahab mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain