ab junun ke rat-jage khirad mein aa gae sare khwab raushni ki zad mein aa gae log pa gae haqiqaten qayas mein hum yaqin se guman ki had mein aa gae ilm ke muraqabe hain ghair-mustanad jehl ke munazare sanad mein aa gae lafz-e-fath ke jo tarjuman the kabhi kyun simat ke harf-e-al-madad mein aa gae ek panah kya mali ki husn-o-ishq ke sab gunah nekiyon ki mad mein aa gae dal ki tah mein 'azim' un ki yaad rah gai gham ubhar ke mere khal-o-khad mein aa gae