bazm se jab nigar uthta hai mere dil se ghubar uthta hai main jo baitha hun to wo khush-qamat dekh lo bar bar uthta hai teri surat ko dekh kar meri jaan khud-bakhud dil mein pyar uthta hai us ki gul-gasht se rawish-ba-rawish rang hi rang yar uthta hai tere jate hi is kharabe se shor-e-girya hazar uthta hai kaun hai jis ko jaan aziz nahin le tera jaan-nisar uthta hai saf-ba-saf aa khade hue hain ghazal dasht se khaksar uthta hai hai ye tesha ki ek shoala sa bar-sar-e-kohsar uthta hai karb-e-tanhai hai wo shai ki khuda aadmi ko pukar uthta hai tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya kahin hum se ye bar uthta hai lo wo majbur shahr-e-sahra se aaj diwana-war uthta hai apne yan to zamane walon ka roz hi eatibar uthta hai 'jaun' uthta hai yun kaho yani 'mir'-o-'ghaalib' ka yar uthta hai