tamam umr jale aur raushni nahin ki ye zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki sitam to ye hai ki mere khilaf bolte hain wo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki jo dil mein aata gaya sidq-e-dil se likhta gaya duaen mangi hain main ne to shaeri nahin ki bas itna hai ki mera bakht dhal gaya aur phir mere charagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki meri sipah se duniya larazne lagti hai magar tumhaari to main ne barabari nahin ki kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim' sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki