be-aman shab ka dhuan dar ki taraf khinchta hai ek nadida samundar ki taraf khinchta hai dil kahin dur bahut dur nikal jata hai waqt taswir ke andar ki taraf khinchta hai main khurachta hun hatheli se lakiron ka azab ek sitara mujhe mehwar ki taraf khinchta hai dasht-e-ehsas ki shiddat se nikalna hai muhaal dard bite hue manzar ki taraf khinchta hai chand dhundlae hoe aks hain pas-manzar mein ye koi khwab mujhe ghar ki taraf khinchta hai