haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge tujhe bhi hum ai gham-e-zamana ghazal ke sanche mein dhaal denge tapish patingon ko bakhsh denge lahu charaghon mein dhaal denge hum un ki mahfil mein rah gae hain to un ki mahfil sambhaal denge na banda-e-aql-o-hosh denge na ahl-e-fikr-o-khayal denge tumhaari zulfon ko jo daraazi tumhaare aashufta-haal denge ye aql wale isi tarah se hamein fareb-e-kamal denge junun ke daman se phul chun kar khirad ke daman mein dal denge hamari aashuftagi salamat sulajh hi jaegi zulf-e-dauran jo pech-o-kham rah gaya hai baqi wo pech-o-kham bhi nikal denge janab-e-shaikh apni fikr kije ki ab ye farman-e-barhaman hai buton ko sajda nahin karoge to but-kade se nikal denge