be-bason ya be-sahaaron aur be-chaaron ka sath

be-bason ya be-sahaaron aur be-chaaron ka sath
kaun deta hai yahan ab waqt ke maron ka sath

ye to rukne ka khudara nam hi lete nahin
aansuon ko mil gaya hai kaun se dhaaron ka sath

main agar chhoda gaya to kyon use ilzam dun
chand bhi to chhod de hai tutte taron ka sath

bhuk ke har masale ko un se ja ke puchhiye
bhuk ne kata ho jin ke sath athwaron ka sath

ab ke ye barsat mere sar se chhat bhi le gai
mere ghar ko chahiye tha aur diwaron ka sath

sar patakti phir rahi sachchai 'abid' dar-ba-dar
har taraf se le chuka hai jhut akhbaron ka sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close