aap ko ba-shuur hona tha dil to shisha hai chur hona tha hum mohabbat se kya gila karte tum ko milna tha dur hona tha sari duniya se koi farq nahin tum ko mera zarur hona tha wo khuda to nahin khuda ki qasam par hasin hai ghurur hona tha jo saza pa raha hai tu 'abid' us mein to be-qusur hona tha