be-chehragi-e-gham se pareshan khade hain hum phir bhi wo zalim hain ki jine par ade hain gham se jo buland aur masarrat se bade hain aise bhi kai dagh mere dil pe pade hain tarikh ke safhon pe jo insan bade hain un mein bahut aise hain jo lashon pe khade hain kya kya na hamein ghar ki udasi se gila tha ab shahr se nikle hain to hairan khade hain aai na shikan meri jabin par rah-e-gham mein kuchh aable padne the so talwon mein pade hain yaadon ke ghane shahr mein kyunkar koi nikle har fard ke pichhe kai afrad khade hain rona to ye hai halqa-e-zanjir ki surat haalat ke pairon mein hamin log pade hain suraj jo chadhega to simat jaenge ye log sae ki tarah qad se jo do hath bade hain hum par jo guzarti hai use kis ko bataen tanhai ki aaghosh mein sadiyon se pade hain haalat ke pathraw se bach niklen to jaano shishe ki tarah hum bhi framon mein jade hain is daur-e-khirad ka ye alamiyya hai ki insan aap apni hi lashen liye kandhon pe khade hain sadiyan hain ki guzri hi chali jati hain 'nazish' hain roz-o-mah-o-sal ki chup-chap khade hain