ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo hum se agar hai tark-e-talluq to kya hua yaro koi to un ki khabar puchhte chalo jo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanas hain un ko bhi kya khabar hai magar puchhte chalo kis manzil-e-murad ki jaanib rawan hain hum ai rah-rawan-e-khak-basar puchhte chalo