be-dad-kash hain hum koi bedad-gar nahin dil kis ko dijiye koi tum sa bashar nahin kahte hain wo ki baat teri mo'atabar nahin ye bhi kinaya hai ki fughan mein asar nahin lillah tegh-e-naz karo ab miyan mein bismil hai ek jahan koi baqi bashar nahin tadbir mein bhi pa-e-muqaddar hai darmiyan sach hai kisi ke hath mein naf-o-zarar nahin sauda-e-zulf-e-yar ka qissa na puchhiye ye dastan daraaz hai kuchh mukhtasar nahin us but ka kis se shikwa-e-bedad kijiye us samt ko khudai hai koi idhar nahin jab tak baha-e-bosa na doge na denge hum pae pade hue dil-o-jaan-o-jigar nahin mana abhi na aae magar wada to kiya kyunkar kahun dua-e-sahar mein asar nahin kya kah ke soz-e-ishq ka qissa sunaen hum aatish nahin hai barq nahin hai sharar nahin sar rakh diya hai panw pe qatil ke dekhna aata hai ya wo qabu mein ya apna sar nahin puchha na us ne sang-dili se wagarna kya haal-e-kharab ki mere us ko khabar nahin iman-o-hubb-e-al-e-nabi sath hai 'fida' be-zad-o-rahila ye adam ka safar nahin