yaad hai ab tak mohabbat ka zamana yaad hai apni duniya ko tere hathon mitana yaad hai shama ka waqt-e-sahar wo jhilmilana yaad hai aur mere pahlu se tera uth ke jaana yaad hai ek qayamat thi teri aaraish-e-husn-o-jamal mere dil ko dam-e-gesu mein phansana yaad hai ikhtitam-e-be-sukun thi ibtida-e-ashiqi zindagi ko lafz-e-be-mani banana yaad hai nazron nazron mein wo mera shikwa-e-bedad-o-zulm baaton baaton mein wo tera ruth jaana yaad hai sham-e-furqat thi ki paigham-e-qayamat tha mujhe dil ka wo pahlu badal kar tilmilana yaad hai wo teri duzdida nazren wo nigah-e-awwalin wo tera khud ko dikhana aur chhupana yaad hai wo tera husn-e-tajalli al-hafiz-o-al-aman meri aankhon mein mere dil mein samana yaad hai husn ke naghmat ulfat ke tarane gae hain abr-aluda fazaon mein wo gana yaad hai dil ke wo paiham taqaze wo meri majburiyan bin-bulae wo teri mahfil mein aana yaad hai bais-e-sad-fakhr thi mujh ko kabhi qurbat teri imbisat-afza mohabbat ka fasana yaad hai chandni raaton mein wo sehn-e-chaman mein ghumna dal kar banhen gale mein muskurana yaad hai kis tarah main mahw kar dun qalb-e-afsurda ki yaad qissa-e-dil tujh ko ro ro kar sunana yaad hai ab na wo ahd-e-guzishta hai na wo 'afzal' shabab wo bahaaren lut gain jin ka fasana yaad hai