be-ghar tha phir chhod gaya ghar jaane kyun par kiya hai sat samundar jaane kyun aankhen hairan dil viran hain chehre zard chikh raha hai manzar manzar jaane kyun aankhon mein mazlumon ke bas aansu hain fikr mein hai har ek sitam-gar jaane kyun tapti rit jhulaste sae tund hawa ghar se nikla mom ka paikar jaane kyun phul sa chehra jhil si us ki aankhen hain yaad aata hai mujh ko aksar jaane kyun aate jate sab se baaten karta tha chup baitha hai aaj qalandar jaane kyun meri ghazlen sun kar 'anwar' chahat se dekhta hai har ek sukhnawar jaane kyun