abhi mohabbat ki ibtida hai dilon ke arman nikal rahe hain

abhi mohabbat ki ibtida hai dilon ke arman nikal rahe hain
abhi hai aaghaz mastiyon ka sharab ke daur chal rahe hain

ajib barsat ka saman hai nazar ko har waqt ye guman hai
ki husn angdai le raha hai hasin kapde badal rahe hain

abhi jawani pe hain umangen dilon mein hain sainkadon tarangen
jo do charagh aaj bujh rahe hain to das charagh aur jal rahe hain

qadam qadam par tha khauf-e-tufan jagah jagah tha fana ka saman
magar rahe ishq teri himmat mere irade atal rahe hain

sulag rahe hain abhi hamare dilon ke aatish-kade musalsal
jala chuke the abhi jo hum ko ab un ki bari hai jal rahe hain

nahin zamane se koi shikwa hamein gila hai to sirf ye hai
teri nazar mein bhi hum ba-rang-e-shikayat-e-be-mahal rahe hain

hui sahar khatm par hai mahfil utho ki 'afsar' uchat hai dil
na husn mein ab wo dilkashi hai na zulf mein ab wo hal rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close