be-gharaz tujh se jo milta hoga us ka dil pyar ka dariya hoga shak jo ahbab pe karta hoga us ko apne pe bhi dhoka hoga saf ubhar aae khad-o-khal us ke chehra aaine mein dekha hoga de diya waqt pe dhoka us ne jis ko samjha tha ki apna hoga wo jo khamosh hai maghmum bhi hai us ne har baat pe socha hoga aaj hum aap salamat hain to bas kis ko malum ki kal kya hoga kya 'kamal' us ki khabar hai tujh ko kal kitabon mein tu bikhra hoga