aawaz apne dil ki hun bang-e-dara nahin aae na mere pas jo dard aashna nahin ghairon se bhi nibah tumhaara na ho saka kya ab bhi ye kahoge ki tum bewafa nahin chehron pe ikhtilaf sadaon mein intishaar is shahr-e-sang-dil mein koi ham-nawa nahin yun gumrahi mein aaj hai har shakhs mubtala jaise zamane bhar mein koi rahnuma nahin manzil kidhar hai aur kidhar rasta 'kamal' wo kya batae jis ko khud apna pata nahin