be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin pana khona hansna rona kya hai aakhir kuchh bhi nahin apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai jism ki khatir lakhon saman ruh ki khatir kuchh bhi nahin us ki bazi us ke mohre us ki chaalen us ki jit us ke aage sare qadir mahir shatir kuchh bhi nahin us ka hona ya na hona khud mein ujagar hota hai gar wo hai to bhitar hi hai warna ba-zahir kuchh bhi nahin duniya se jo paya us ne duniya hi ko saunp diya ghazlen nazmen duniya ki hain kya hai shair kuchh bhi nahin