ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya sahra kisi dariya ki nishani to nahin kya dekho mera kirdar kahin par bhi nahin hai dekho ye koi aur kahani to nahin kya raushan hai naya aks sar-e-chashm-e-tamasha bite hue manzar ki rawani to nahin kya is ghar ke dar-o-baam bhi apne nahin lagte qismat mein nai naql-e-makani to nahin kya khwabon pe padi os ka matlab to yahi hai ashkon ke jo shoale wo the pani to nahin kya main misra-e-ula hun to aaine mein sahab jo aks hai wo misra-e-sani to nahin kya puchhunga kisi roz charaghon se main 'ahmad' ye lau koi paigham zabani to nahin kya