be-intiha hona hai to is khak ke ho jao imkan ki masafat karo aflak ke ho jao sab qisson ko chhodo dil-e-sad-chaak ke ho jao is daur-e-junun-khez mein idrak ke ho jao khushiyon se kahan rabt hai hum ko bhi tumhein bhi aa jao isi lamha-e-namnak ke ho jao is bagh mein shamshir-e-hawa se na bachoge khush rang ho jao kisi poshak ke ho jao be-zaeqa hone se yahi zaiqa achchha ashjar se utro khas-o-khashak ke ho jao sar-poshi ka fan hathon ko sikhlao wagarna be-ankh ke be-kan ke be-nak ke ho jao 'shahpar' ki tarah khak se udte hi phiroge banna hai to bas jao kisi chaak ke ho jao