be-jumbish-e-abru to nahin kaam chalega aa kar mere qisse mein tera nam chalega thahra hai mere zehn mein jo qafila-e-gul thoda sa to le kar yahan aaram chalega zuhhad ki mala nahin jo raat ko nikle rindon ka piyala hai sar-e-sham chalega tu raqs kare gird mere aur main gaun ye khel bhi ai gardish-e-ayyam chalega chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein ek roz mere sath sar-e-am chalega