sae se hausle ke bidakte hain raste aage badhun to pichhe sarakte hain raste aansu hazar tut ke barsen to pi ke chup ek qahqaha ude to khanakte hain raste samjho to ghar se ghar ka talluq unhi se hai dekho to be-maqam bhatakte hain raste daman mein un ke panw ke aise nishan bhi hain rah rah ke jin ke dam se damakte hain raste taron ki chhanw narm hai sun leti hai pukar din bhar ki dhup mein jo bilakte hain raste rahe chalen jo hum to chale aaen ye bhi sath qadmon ki pith par hi thitakte hain raste