be-kasi rukh badal hi jati hai aah munh se nikal hi jati hai husn ho aish ho jawani ho dhup aakhir ko dhal hi jati hai hai gham-e-ishq mustaqil warna har bala sar se tal hi jati hai phul karte rahen jatan lakhon bu chaman se nikal hi jati hai jaante hum bhi hain maal-e-nashat hasrat-e-dil machal hi jati hai meri majburiyon pe un ki nazar hath dar-parda mal hi jati hai dekh kar kaamrani-e-tadbir chaal qismat bhi chal hi jati hai thokaren kha ke fitrat-e-insan rah-e-gham mein sanbhal hi jati hai nazm bhi tarjuman-e-dil hai 'adib' pesh lekin ghazal hi jati hai