pareshani mein izhaar-e-pareshani se kya hasil

pareshani mein izhaar-e-pareshani se kya hasil
bhare bazar mein khud apni arzani se kya hasil

mujhe har manzil-e-masti se hans hans kar guzarna hai
mita de jo meri himmat us aasani se kya hasil

baghair-e-jabr-o-quwwat jhuk nahin sakta jo ek sar bhi
to phir aisi jahangiri jahanbani se kya hasil

hujum-e-barq-o-baran ho nuzul-e-qahr-o-tufan ho
faza-e-afiyat mein baal-jumbani se kya hasil

dil-e-barbaad se paida naya dil ho nahin sakta
ab aansu ponchhiye bhi ab pashemani se kya hasil

taraste hain dar-o-diwar bhi ab un ke jalwon ko
mujhe ai khana-e-dil teri virani se kya hasil

qafas ho ya nasheman koi ham-ahang ho warna
'adib' aisi fughan aisi ghazal-khwani se kya hasil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close