be-KHabar hone se pahle ki KHabar to dekhte

be-khabar hone se pahle ki khabar to dekhte
dubte suraj ki jaanib ek nazar to dekhte

chhed kar zikr-e-judai samne us ke kabhi
us ke chehre se huwaida us ka dar to dekhte

dekhne us ko gali ki samt gar jaane ko the
auj par betabi-e-diwar-o-dar to dekhte

jis ne milna hi nahin hai us ko pane ki talash
be-wajah kar ke kabhi koi safar to dekhte

hath se chhu kar nahin to pas hi ja kar use
shahar mein utra hai ek rashk-e-qamar to dekhte

garmiyon mein dasht-e-hijran ka safar rakhna kabhi
dhup mein jal kar samar dete shajar to dekhte

raat ki tarikiyon mein ghar se niklo to 'naim'
dekhte hain kis tarah se be-basar to dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close