malum nahin kaun si basti ke makin the

malum nahin kaun si basti ke makin the
kuchh log meri soch se bhi badh ke hasin the

ab mujh ko wo ek pal bhi mayassar nahin hote
arbab jo masnad pe yahin takht-nashin the

ye baat ajab hai ki hamara na hua tu
kya hum na tere ahd ke tabinda nagin the

afsos use prem ka ek lafz nahin yaad
qisse meri chahat ke jise zehn-nashin the

ab bhul chuke apne khadd-o-khal to kya hai
hum log kisi daur mein had-darja zahin the

padhta hun bahut shauq se purkhon ke fasane
muflis the magar ganw ki izzat ke amin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close