be-KHatar ranjish-e-dildar uThai jae

be-khatar ranjish-e-dildar uthai jae
jaise diwar pe diwar uthai jae

dushmani aur badhane ka irada jo nahin
rakh ke kyon panw pe dastar uthai jae

thak gaya hun main uthate hue aawazon ko
sochta hun koi talwar uthai jae

roz wo wasl ke badle mein alam deta hai
kyon na ye khwahish-e-be-kar uthai jae

tujh ko bhi ilm nahin hai ki teri chaukhat par
khilqat-e-shahr hai bezar uthai jae

dusri bar yaqin ishq pe aata hai kise
ye qasam wo hai jo ek bar uthai jae

rush jo badh jae kharidariyan kam hoti hain
kuchh na kuchh raunaq-e-bazar uthai jae

baadbanon ke sahaaron pe raho mat 'eajaz'
hai hawa band to patwar uthai jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close