dariya-e-ishq jo tha utar kar nahin raha

dariya-e-ishq jo tha utar kar nahin raha
baatin ka haq-shanas magar mar nahin raha

achchha to aap khud hi riwayat ko tod den
koi agar kisi ka bhala kar nahin raha

jazbaat is liye nahin phule phale kabhi
dil yaad-e-ishq-e-yar ka mehwar nahin raha

shamil nahin hai yar jo huran-e-khuld mein
ginti mein meri aaj se sattar nahin raha

aise sitam-shiar ka banta nahin hai gham
jo chhodte hue bhi tujhe dar nahin raha

phir yun hua ki yar ne diwar khinch di
jo mushtarak tha nakhl-e-sanobar nahin raha

'eajaz' kam nahin ye fasurda-dili ka bhi
hum dubne chale to samandar nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close