be-khayali mein tera imkan rahne ke liye muflisi mein aa gaya mehman rahne ke liye aap ke arman ko dil se khinch kar bahar kiya ab kahan jaenge ye shaitan rahne ke liye shahr ke haalat se do-chaar ho kar aa gae dakuon ke beach ab darban rahne ke liye din dahade khwab kyun palkon pe marne aa gaya ye jagah hargiz nahin aasan rahne ke liye itne barson baad phir kyun aaj aisa lag raha aa gae kamre mein do anjaan rahne ke liye ishq mein aangan dariche dhundhna mat 'shaziya' aa gai hai jail mein nadan rahne ke liye