yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai use samho apni talash tum jo tumhein kisi ki talash hai yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai wo masarraton ka hujum kya jo tawaf-e-ishq-o-tarab kare wo khushi jo auron ko de sakun mujhe us khushi ki talash hai ye jo pastiyan hain uruj ki ye tabahiyan jo hain zehn ki koi rahbar hai to aae phir unhen rahbari ki talash hai meri zindagi meri shaeri hai haqiqaton ka ek aaina ye 'matin' gham jo aziz hai ye meri kabhi ki talash hai